Mera Bholu Mahaan

Namashkaar. Hamra naam hain Bholu Kanhaiyalaal - aur voh bhi ae ....kaa bolat hain....haaan...aur voh bhi ischliye kayonki hamri ek laal gae hain. Voh gao vaalon dekhat rahe hamari gae ko - aur hamra naam rakh liya Kanhaiyalaal

HAEHAEHAEHAEHAE.....ahuuo...hmmm...aur kanhaiya kaiyonki hum thodi kaale hain...

Ik din kaa kua - hamri gae jo hain na...voh haraa rang ka paani nikaal rahi thi....haen? ...nahi samjhe?? ....aaaa.....voh kahat hain na usse.....loooj....looj....arrey!....haaan....looj mashaan....hamari gae ko looj mashaaan ho gaya tha....

to hum soche, "arrey...eee sasur ka hoi gava?! Itna looj mashaan nikaale gi to doodh bhi vaheen se nikala jaavat!" ....hum the bade pareshaan....

phir hamra gao ka daaktur...Misraji...voh aee. Hum unhe poochat, "Meesraajee, ee gae ko tanik theek keejiye! Ee sasuri hamara doodh bhi nikaal baithegi!"

Meesraajee bole, "Arre sasura tum pagal ho kaa?!? Hume bolat ho ki humri betee bimaar hai...voh sasuri haraa pani nikaala hai...hum soche tum kauno pagal to nahi ho gaye ho, to hum chale aee - aene k baad humhe kahat ho ki tumhri beteen gaeehain!! Humhe to sarpanchvaa se kumplaant karna chahiye ki poore gaovaloon ki gayeen ko tumhri boori nazar lag sakat hain! Pataa nahi tum raat ko tabaelen mein jaa kar kaa karat ho!!!!"

B - "Arrey meesrajee...kahe gussa hoth ho? Humri Chamiya ki taabayaat theek kardo bhaee"

M - "Chamiyaa?!!"

B - "...eeh.....eh he .....voh is sasuri ka naam rakhen hain hum"

M - "Bholu - tumhra demaag ka ilaaj karna chahi ...filhaal hum ee sasuri ko dekhat hain.............

.....oh ho.....eeka kaaa khilaei hain tum?"

B - "...kuch nahi sarkaar....hum kal raat ko shher se gae ka burger lekar aee the - to isko bhi thoda dae diya"

M - ".................."

B - "??"

M - "Tum ek gae ko gae khilaye ho?"

B - "Haan sarkaar...kyon kaono galti kare hain kaa?"

M - "Bholu, tumhre bheje mein gobar hain gobar! Ee gae ki ghaan mein sirf paani hain - tumhre bheje mein saaaraa GOBARRR!!!!"

B - "...ehe ....aap ke bhi bheje mein hai kaa sarkaar?"

Aur iske baad, Meesraaajee humhre peechee peechee bhaagte bhaagte...aur hum aage aage nikal gaye....

Shayad gae ka burger gae ko nahi khilvaana chahi....sochne ki baat hain....
2007-07-17 00:00 Older stories